Shahrukh Khan Dialogues For Life.

Kown as the ‘King of Romance’, Shah Rukh Khan started his career on television with shows like ‘Circus’ and ‘Fauji’.



1. Baazigar (1993): “Kabhi kabhi jeetne ke liye kuch haarna bhi padta hai … aur haar kar jeetne waale ko baazigar kehte hai”


2. Darr (1993): “I love you Kkkk… Kiran”


3. Dilwale Dulhaniya Le Jayenge (1995): “Bade bade deshon mein aisi choti choti baatein … hoti rehti hai Senorita”


4. Dilwale Dulhaniya Le Jayenge (1995): “Agar yeh tujhe pyar karti hai toh yeh palat ke dekhegi … palat … palat!”


5. Dil Toh Pagal Hai (1997): “Rahul, naam toh suna hoga?”


6. Kuch Kuch Hota Hai (1998): “Pyar dosti hai … agar woh meri sab se achchi dost nahin ban sakti, to main usse kabhi pyar kar hi nahi sakta …”


7. Kuch Kuch Hota Hai (1998): “Hum ek baar jeete hai, ek baar marte hai, shaadi bhi ek baar hoti hai … aur pyar ek baar hi hota hai.”


8. Mohabbatein (2000): “Main aaj bhi usse utni hi mohabbat karta hoon … aur is liye nahi ki koi aur nahi mili … par is liye ki usse mohabbat karne se fursat hi nahi milti.”


9. Kabhi Khushi Kabhie Gham (2001): “Zindagi mein agar kuch banna ho, kuch haasil karna ho, kuch jeetna ho … toh hamesha dil ki suno … aur agar dil bhi koi jawab na de toh aankhen band karke apni maa aur papa ka naam lo … phir dekhna har manzil paar kar jaoge, har mushkil aasaan ho jayegi … jeet tumhari hogi, sirf tumhari.”


10. Devdas (2002): “Kaun kambakht bardaasht karne ko peeta hai … hum toh peete hai ki yahan par baith sake, tumhe dekh sake, tumhe bardaasht kar sake.”


11. Devdas (2002): “Babuji ne kaha gaon chhod do … sab ne kaha Paro ko chhod do … Paro ne kaha sharab chhod do … aaj tumne keh diya haweli chhod do … ek din aayega jab woh kahenge, duniya hi chhod do.”


12. Kal Ho Na Ho (2003): “Aaj … aaj ek hasi aur baant lo … aaj ek dua aur maang lo … aaj ek ansoon aur pee lo … aaj ek zindagi aur jee lo … aaj ek sapna aur dekh lo … aaj … kya pata, kal ho naa ho.”


13. Main Hoon Na (2004): “Zindagi nikalti jaati hai aur hum sab pyar ke bina jeena seekh lete hai … kyun pyar ko mauka nahi dete, kyun apno par vishvas nahi karte.”


14. Veer Zaara (2004): “Kahin bhi kabhi bhi ek dost ki zarurat pade toh yaad rakhiyega ki sarhad paar ek aisa shaks hai joh aapke liye apni jaan bhi de dega.”


15. Chak de! India (2007): “Mujhe states ke naam na sunai dete hai na dikhai dete hai … sirf ek mulk ka naam sunai deta hai I-N-D-I-A.”


16. Chak de! India (2007): “Peeche se nahi mardo ki tarah aage se ladoo … woh kya hai, hamari hockey mein chakke nahi hote.”


17. Om Shanti Om (2007): “Kehte hain agar kisi cheez ko dil se chaho … to puri kainaat usse tumse milane ki koshish mein lag jaati hai.”


18. Om Shanti Om (2007): “Itni shiddat se maine tumhe paane ki koshish ki hai … ki har zarre ne mujhe tumse milane ki saazish ki hai.”


19. Jab Tak Hai Jaan (2012): “Baarishon mein bedhadak tere nachne se … baat baat pe bewajah tere roothne se … choti choti teri bachkani badmashiyon se … mohabbat karoonga main … jab tak hai jaan, jab tak hai jaan.”


20. Chennai Express (2013): “Don’t underestimate the power of a common man.”


21. Happy New Year (2014): “Kismat badi kutti cheez hai … saali kabhi bhi palat jaati hai.”


22. Dilwale (2015): “Dil toh har kisi ke paas hota hai … lekin sab dilwale nahi hote.”


23. Ae Dil Hai Mushkil (2016): “Ek tarfa pyaar ki taaqat hi kuch aur hoti hai… yeh rishtoh ki tarah do logon mein nahi badti.. sirf mera haqq hai iss pe..”



24. Raees (2017): “Koi dhanda chota nahi hota aur dhande se bada koi dharam nahi hota..”



25. Raees (2017): “Gujarat ki hawa mein vyapar hai saheb … meri saans toh rok loge … lekin is hawa ko kaise rokoge..”


Comments

Popular posts from this blog

13 Most Haunted Places In Karnataka

Got bored of same breakfast daily?? Check it OUT!!!

Indian Complete Marriage Planning